kahan tak koi waza apni sambhaale
kahan tak koi waza apni sambhaale
Basheerunnisaa Begam Basheer
MORE BYBasheerunnisaa Begam Basheer
kahāñ tak koī vaz.a apnī sambhāle
nazar aa rahe haiñ tamāshe nirāle
parastār-e-maġhrib na kyoñ kar ho duniyā
banāte na.e but haiñ tahzīb vaale
gayā zauq ahl-e-nazar kī nazar se
na.ī raushnī ke haiñ saare ujāle
bulāve ye phir kyoñ unheñ aa rahe haiñ
bharī bazm se jo ga.e haiñ nikāle
jo lazzat mayassar hai zauq-e-talab meñ
nahīñ is se vāqif tire arsh vaale
tū nairañgī-e-roz-o-shab se na uktā
zamāne abhī aur haiñ aane vaale
ga.ī aah duniyā se raushan-zamīrī
ki shāhīñ bane zaaġh kī chalne vaale
na nikleñge kāñTe 'bashīr' apne dil ke
agar ek do hoñ to koī nikāle
kahan tak koi waza apni sambhaale
nazar aa rahe hain tamashe nirale
parastar-e-maghrib na kyon kar ho duniya
banate nae but hain tahzib wale
gaya zauq ahl-e-nazar ki nazar se
nai raushni ke hain sare ujale
bulawe ye phir kyon unhen aa rahe hain
bhari bazm se jo gae hain nikale
jo lazzat mayassar hai zauq-e-talab mein
nahin is se waqif tere arsh wale
tu nairangi-e-roz-o-shab se na ukta
zamane abhi aur hain aane wale
gai aah duniya se raushan-zamiri
ki shahin bane zagh ki chalne wale
na niklenge kanTe 'bashir' apne dil ke
agar ek do hon to koi nikale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.