kahan tak mujhko Thukraegi duniya
kahāñ tak mujh ko Thukrā.egī duniyā
kabhī to ḳhud ko samjhā.egī duniyā
miyāñ dil se ġhalat-fahmī nikālo
tumhāre bin bhī chal jā.egī duniyā
mujhe bhī rok hī legā zamāna
tumheñ bhī yaad aa jā.egī duniyā
ise apnā nahīñ hai hosh 'anvar'
tumheñ kyā ḳhaak samghā.egī duniyā
kahan tak mujh ko Thukraegi duniya
kabhi to KHud ko samjhaegi duniya
miyan dil se ghalat-fahmi nikalo
tumhaare bin bhi chal jaegi duniya
mujhe bhi rok hi lega zamana
tumhein bhi yaad aa jaegi duniya
ise apna nahin hai hosh 'anwar'
tumhein kya KHak samghaegi duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.