kahan tak sunoge zamane ki baaten
kahan tak sunoge zamane ki baaten
Ved Prakash Malik Sarshar
MORE BYVed Prakash Malik Sarshar
kahāñ tak sunoge zamāne kī bāteñ
ye ik dūsre ko laḌāne kī bāteñ
mohabbat se rahte the aapas meñ ham tum
tumheñ yaad haiñ us zamāne kī bāteñ
zamāne meñ apnī ye hālat na hotī
na sunte agar ham zamāne kī bāteñ
hai duniyā ko amn-o-sukūñ kī zarūrat
karo ḳhatm tūfāñ uThāne kī bāteñ
kuchh us kī ravish ko nahīñ dekhte ham
sune jā rahe haiñ zamāne kī bāteñ
na tum miT sakoge na ham hī miTeñge
ġhalat haiñ ye miTne miTāne kī bāteñ
zamāna zamāna sitamgar zamāna
tumheñ kyā batā.eñ zamāne kī bāteñ
kareñ fikr kuchh apne sūd-o-ziyāñ kī
bahut sun chuke ham zamāne kī bāteñ
kahan tak sunoge zamane ki baaten
ye ek dusre ko laDane ki baaten
mohabbat se rahte the aapas mein hum tum
tumhein yaad hain us zamane ki baaten
zamane mein apni ye haalat na hoti
na sunte agar hum zamane ki baaten
hai duniya ko amn-o-sukun ki zarurat
karo KHatm tufan uThane ki baaten
kuchh us ki rawish ko nahin dekhte hum
sune ja rahe hain zamane ki baaten
na tum miT sakoge na hum hi miTenge
ghalat hain ye miTne miTane ki baaten
zamana zamana sitamgar zamana
tumhein kya bataen zamane ki baaten
karen fikr kuchh apne sud-o-ziyan ki
bahut sun chuke hum zamane ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.