kahan tak zabt karta be-KHudi se aashna ho kar
kahāñ tak zabt kartā be-ḳhudī se āshnā ho kar
naqāb-e-rāz maiñ ne bhī ulaT dī lab-kushā ho kar
hayāt-e-ishq kī har saañs sarf-e-justujū kar de
latāfat dil kī zaa.il kar na manzil āshnā ho kar
ḳhudā ma.alūm us kī justujū mujh ko kahāñ laa.ī
ki ḳhud bhī kho gayā huuñ apne markaz se judā ho kar
fazā-e-dahr kar dī pur-sukūñ kaif-e-tarannum se
kisī ne parda-e-har-sāz se naġhma-sarā ho kar
badal dī husn kī fitrat mirī shān-e-taḳhayyul ne
vo majbūr-e-karam ḳhud ho ga.e sabr-āzmā ho kar
mujhe is ālam-e-hairat meñ laa.e haiñ tire jalve
ki terā ā.īna maiñ ban gayā huuñ ḳhud-numā ho kar
mujhe is be-niyāzī par na de ilzām-e-ḳhuddārī
ki aayā huuñ azal se nā-shanās-e-mudda.ā ho kar
kahan tak zabt karta be-KHudi se aashna ho kar
naqab-e-raaz main ne bhi ulaT di lab-kusha ho kar
hayat-e-ishq ki har sans sarf-e-justuju kar de
latafat dil ki zail kar na manzil aashna ho kar
KHuda malum us ki justuju mujh ko kahan lai
ki KHud bhi kho gaya hun apne markaz se juda ho kar
faza-e-dahr kar di pur-sukun kaif-e-tarannum se
kisi ne parda-e-har-saz se naghma-sara ho kar
badal di husn ki fitrat meri shan-e-taKHayyul ne
wo majbur-e-karam KHud ho gae sabr-azma ho kar
mujhe is aalam-e-hairat mein lae hain tere jalwe
ki tera aaina main ban gaya hun KHud-numa ho kar
mujhe is be-niyazi par na de ilzam-e-KHuddari
ki aaya hun azal se na-shanas-e-muddaa ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.