kahan tamam abhi karbala ka manzar hai
kahāñ tamām abhī karbalā kā manzar hai
hamāre saath na.e hausloñ kā lashkar hai
tujhe hai shauq bahut zarf nāpne kā magar
mire rafīq ye dariyā nahīñ samundar hai
is inqalāb ko duniyā meñ kaun rokegā
jo zalzale kī tarah mere dil ke andar hai
jo diip jaltā rahā raat bhar mirī ḳhātir
mire liye to vahī sūrajoñ se behtar hai
zamīn vaale use sirf dekh sakte haiñ
vo chāñd hai use chhūnā kahāñ mayassar hai
tire baġhair bhī dīvār-o-dar chamakte haiñ
tire baġhair bhī ghar kā diyā munavvar hai
kahan tamam abhi karbala ka manzar hai
hamare sath nae hauslon ka lashkar hai
tujhe hai shauq bahut zarf napne ka magar
mere rafiq ye dariya nahin samundar hai
is inqalab ko duniya mein kaun rokega
jo zalzale ki tarah mere dil ke andar hai
jo dip jalta raha raat bhar meri KHatir
mere liye to wahi surajon se behtar hai
zamin wale use sirf dekh sakte hain
wo chand hai use chhuna kahan mayassar hai
tere baghair bhi diwar-o-dar chamakte hain
tere baghair bhi ghar ka diya munawwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.