kahan the aise ki ab jaise KHadd-o-Khaal hue
kahāñ the aise ki ab jaise ḳhadd-o-ḳhāl hue
ba-rang-e-sabza-e-tar the ki pā.emāl hue
ġhurūr-e-mehr kā uqda khulā kahāñ jā kar
hamāre jism ki jab ā.ina-misāl hue
misāl-e-shabnam-e-āvāra hī baras ki badan
havā-e-gard-e-talab se bahut niDhāl hue
diloñ meñ aaj bhī naqsh-o-nigār zinda haiñ
vo jin ko bichhḌe hue ham se kitne saal hue
vo umr ham ne ḳhayāloñ ko ḳhvāb meñ Dhālā
vo umr guzrī to vo ḳhvāb phir ḳhayāl hue
tumhāre baare meñ ham se hamesha pūchhā gayā
hamāre baare meñ tum se kabhī savāl hue
ḳhushī se pālte haiñ apnī āstīn meñ saañp
ḳhushā ki hazrat-e-'iqrār' bā-kamāl hue
kahan the aise ki ab jaise KHadd-o-KHal hue
ba-rang-e-sabza-e-tar the ki paemal hue
ghurur-e-mehr ka uqda khula kahan ja kar
hamare jism ki jab aaina-misal hue
misal-e-shabnam-e-awara hi baras ki badan
hawa-e-gard-e-talab se bahut niDhaal hue
dilon mein aaj bhi naqsh-o-nigar zinda hain
wo jin ko bichhDe hue hum se kitne sal hue
wo umr hum ne KHayalon ko KHwab mein Dhaala
wo umr guzri to wo KHwab phir KHayal hue
tumhaare bare mein hum se hamesha puchha gaya
hamare bare mein tum se kabhi sawal hue
KHushi se palte hain apni aastin mein sanp
KHusha ki hazrat-e-'iqrar' ba-kamal hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.