kahan wo dard mein mahsus aah karte hain
kahāñ vo dard meñ mahsūs aah karte haiñ
jo log zaḳhm ke risne pe vaah karte haiñ
tamām din kisī rahmat kā saaya rahtā hai
ham aadhī raat ko aisā gunāh karte haiñ
kisī guzishta zamāne kā dukh musallat hai
ki ab hañseñ bhī to ham log aah karte haiñ
jinheñ talab hai zamāne kī un ko hāsil ho
tire faqīr to bas terī chaah karte haiñ
maiñ sochtī huuñ ki phir jurm kis ke sar jaa.e
sabhī subūt use be-gunāh karte haiñ
nazar na pher 'muqaddas' gadā samajh ke hameñ
hamāre naam ke charche to shaah karte haiñ
kahan wo dard mein mahsus aah karte hain
jo log zaKHm ke risne pe wah karte hain
tamam din kisi rahmat ka saya rahta hai
hum aadhi raat ko aisa gunah karte hain
kisi guzishta zamane ka dukh musallat hai
ki ab hansen bhi to hum log aah karte hain
jinhen talab hai zamane ki un ko hasil ho
tere faqir to bas teri chah karte hain
main sochti hun ki phir jurm kis ke sar jae
sabhi subut use be-gunah karte hain
nazar na pher 'muqaddas' gada samajh ke hamein
hamare nam ke charche to shah karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.