kahan ye chand raaton ka asar hai
kahāñ ye chand rātoñ kā asar hai
zamāne par zamānoñ kā asar hai
akele baiTh kar yuuñ muskurānā
ye hāthoñ meñ kitāboñ kā asar hai
mukammal ho rahā hai ishq merā
irādoñ se vafāoñ kā asar hai
mohabbat gūñjtī rahtī hai mujh meñ
ye barsoñ kī ḳhalāoñ kā asar hai
sifat jitnī bhī mujh ko hai atā vo
tumhāre saath bātoñ kā asar hai
jahāñ tak dekhtī huuñ tum hī tum ho
tasavvur par sarāboñ kā asar hai
parindoñ se sabā se ḳhushbuoñ se
muta.assir huuñ ḳharāboñ kā asar hai
achānak nīm-shab vo yaad aa.e
numāyāñ do sitāroñ kā asar hai
vasūq itnā savāloñ meñ hamāre
tumhāre kuchh javāboñ kā asar hai
kahan ye chand raaton ka asar hai
zamane par zamanon ka asar hai
akele baiTh kar yun muskurana
ye hathon mein kitabon ka asar hai
mukammal ho raha hai ishq mera
iradon se wafaon ka asar hai
mohabbat gunjti rahti hai mujh mein
ye barson ki KHalaon ka asar hai
sifat jitni bhi mujh ko hai ata wo
tumhaare sath baaton ka asar hai
jahan tak dekhti hun tum hi tum ho
tasawwur par sarabon ka asar hai
parindon se saba se KHushbuon se
mutassir hun KHarabon ka asar hai
achanak nim-shab wo yaad aae
numayan do sitaron ka asar hai
wasuq itna sawalon mein hamare
tumhaare kuchh jawabon ka asar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.