kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun
kahāñ ye taab ki chakh chakh ke yā girā ke piyūñ
mile bharā huā sāġhar to DagDagā ke piyūñ
hazār talḳh ho pīr-e-muġhāñ ne jab dī hai
ḳhudā na-karda jo maiñ muñh banā banā ke piyūñ
mazā hai bāda-kashī kā vahīñ to ai saaqī
piyūñ jo ab to tire āstāñ pe aa ke piyūñ
baġhair jalva dikhā.e rahe na ye ma.ashūq
jo saat parde ke andar use chhupā ke piyūñ
maiñ vo nahīñ ki ḳhud apne qadah kī ḳhair manā.ūñ
piyūñ to bazm meñ das pāñch ko pilā ke piyūñ
zamīñ pe jaam ko rakh de zarā Thahar saaqī
maiñ tujh pe huuñ luuñ tasadduq to phir uThā ke piyūñ
vo mai-kada hai na saaqī hai kuchh na pūchho 'shād'
maiñ kis ke ghar meñ piyūñ kis ke ghar se lā ke piyūñ
kahan ye tab ki chakh chakh ke ya gira ke piyun
mile bhara hua saghar to DagDaga ke piyun
hazar talKH ho pir-e-mughan ne jab di hai
KHuda na-karda jo main munh bana bana ke piyun
maza hai baada-kashi ka wahin to ai saqi
piyun jo ab to tere aastan pe aa ke piyun
baghair jalwa dikhae rahe na ye mashuq
jo sat parde ke andar use chhupa ke piyun
main wo nahin ki KHud apne qadah ki KHair manaun
piyun to bazm mein das panch ko pila ke piyun
zamin pe jam ko rakh de zara Thahar saqi
main tujh pe hun lun tasadduq to phir uTha ke piyun
wo mai-kada hai na saqi hai kuchh na puchho 'shad'
main kis ke ghar mein piyun kis ke ghar se la ke piyun
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 230)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.