kahan zamin ke zaif zine pe chal rahi hai
kahāñ zamīñ ke za.iif ziine pe chal rahī hai
ye raat sadiyoñ se mere siine pe chal rahī hai
ravāñ hai mauj-e-junūñ pe ehsās kā safīna
aur ek tahzīb is safīne pe chal rahī hai
ḳhumār-e-ḳhvāb-e-sahar ye dil aur terī yādeñ
havā dabe paañv ābgīne pe chal rahī hai
maiñ mar gayā to ḳhabar nahīñ un kā kyā banegā
dukān-e-yārāñ to sirf kiine pe chal rahī hai
guzar chukā hai tirī judā.ī kā sāneha bhī
hamārī dhaḌkan na.e qarīne pe chal rahī hai
kahan zamin ke zaif zine pe chal rahi hai
ye raat sadiyon se mere sine pe chal rahi hai
rawan hai mauj-e-junun pe ehsas ka safina
aur ek tahzib is safine pe chal rahi hai
KHumar-e-KHwab-e-sahar ye dil aur teri yaaden
hawa dabe panw aabgine pe chal rahi hai
main mar gaya to KHabar nahin un ka kya banega
dukan-e-yaran to sirf kine pe chal rahi hai
guzar chuka hai teri judai ka saneha bhi
hamari dhaDkan nae qarine pe chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.