kahani ishq ki yani yahi hai
kahānī ishq kī ya.anī yahī hai
yahī hai aag aur paanī yahī hai
maiñ kartā aayā huuñ bas tere man kī
mujhe lagtā thā man ma.anī yahī hai
vo manzar ḳhush hoñ jis se saare nāzir
badal jaatā hai hairānī yahī hai
tire ruḳh se nahīñ haTte kisī taur
nigāhoñ kī nigahbānī yahī hai
bahut mushkil thā us ko bhuul jaanā
maiñ mushkil meñ huuñ āsānī yahī hai
kahani ishq ki yani yahi hai
yahi hai aag aur pani yahi hai
main karta aaya hun bas tere man ki
mujhe lagta tha man mani yahi hai
wo manzar KHush hon jis se sare nazir
badal jata hai hairani yahi hai
tere ruKH se nahin haTte kisi taur
nigahon ki nigahbani yahi hai
bahut mushkil tha us ko bhul jaana
main mushkil mein hun aasani yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.