kahani jis ki thi uske hi jaisa ho gaya tha main
kahānī jis kī thī us ke hī jaisā ho gayā thā maiñ
tamāsha karte karte ḳhud tamāsha ho gayā thā maiñ
na merā naam thā na daam bāzār-e-mohabbat meñ
bas us ne bhaav pūchhā aur mahñgā ho gayā thā maiñ
ka.ī din tak use dekhā nahīñ jab us kī khiḌkī par
to apnī āñkhoñ meñ khiḌkī kā parda ho gayā thā maiñ
bichhaḌ kar us se tanhā.ī kā vo 'ālam rahā mujh meñ
ki ik din aa.ine meñ us kā chehra ho gayā thā maiñ
bujhā to ḳhud meñ ik chingārī bhī baaqī nahīñ rakkhī
use taara banāne meñ añdherā ho gayā thā maiñ
bitā dī 'umr maiñ ne us kī ik āvāz sunñe meñ
use jab bolnā aaya to bahra ho gayā thā maiñ
bahut din baa'd vo ik din bichhaḌ kar phir milā mujh ko
magar is baar milte hī akelā ho gayā thā maiñ
vo dushman dost ban kar ghaat meñ thā achchhe mauqe kī
patā us din chalā jis din nihattā ho gayā thā maiñ
so ḳhud ko DhūñD kar ik roz golī maar dī maiñ ne
jise chāhā usī kī jaañ kā ḳhatra ho gayā thā maiñ
kahani jis ki thi us ke hi jaisa ho gaya tha main
tamasha karte karte KHud tamasha ho gaya tha main
na mera nam tha na dam bazar-e-mohabbat mein
bas us ne bhaw puchha aur mahnga ho gaya tha main
kai din tak use dekha nahin jab us ki khiDki par
to apni aankhon mein khiDki ka parda ho gaya tha main
bichhaD kar us se tanhai ka wo 'alam raha mujh mein
ki ek din aaine mein us ka chehra ho gaya tha main
bujha to KHud mein ek chingari bhi baqi nahin rakkhi
use tara banane mein andhera ho gaya tha main
bita di 'umr main ne us ki ek aawaz sunne mein
use jab bolna aaya to bahra ho gaya tha main
bahut din ba'd wo ek din bichhaD kar phir mila mujh ko
magar is bar milte hi akela ho gaya tha main
wo dushman dost ban kar ghat mein tha achchhe mauqe ki
pata us din chala jis din nihatta ho gaya tha main
so KHud ko DhunD kar ek roz goli mar di main ne
jise chaha usi ki jaan ka KHatra ho gaya tha main
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 103)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.