kahani-kar mere waqiat baqi hain
kahānī-kār mire vāqi.āt baaqī haiñ
bahut haiñ qisse bahut mo.ajizāt baaqī haiñ
ġhalat samajh liyā āsān rāstā chun kar
chalo ki manziloñ kī mushkilāt baaqī haiñ
mujhe ḳhabar hī nahīñ maiñ kahāñ se aaya huuñ
na hī ḳhabar ki koī ḳhvāhishāt baaqī haiñ
ye āshiyānā mirā thā jo jal ke raakh huā
subūt laayā huuñ maiñ kāġhzāt baaqī haiñ
abhī to baaqī hai nabzoñ meñ ik harārat sī
yuuñ lag rahā hai baḌe hādsāt baaqī haiñ
abhī to ahd-e-vafā se mukarnā hai is ko
abhī to zindagī ke tajrabāt baaqī haiñ
ye kaun gard-e-safar ghar pe mere chhoḌ gayā
ye kis ke hisse the jo sānehāt baaqī haiñ
ujaḌ rahe haiñ alāmat ke shahr bhī 'sayyad'
jo baḳht par the mire bāqiyāt baaqī haiñ
kahani-kar mere waqiat baqi hain
bahut hain qisse bahut moajizat baqi hain
ghalat samajh liya aasan rasta chun kar
chalo ki manzilon ki mushkilat baqi hain
mujhe KHabar hi nahin main kahan se aaya hun
na hi KHabar ki koi KHwahishat baqi hain
ye aashiyana mera tha jo jal ke rakh hua
subut laya hun main kaghzat baqi hain
abhi to baqi hai nabzon mein ek hararat si
yun lag raha hai baDe hadsat baqi hain
abhi to ahd-e-wafa se mukarna hai is ko
abhi to zindagi ke tajrabaat baqi hain
ye kaun gard-e-safar ghar pe mere chhoD gaya
ye kis ke hisse the jo sanehat baqi hain
ujaD rahe hain alamat ke shahr bhi 'sayyad'
jo baKHt par the mere baqiyat baqi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.