kahani meri garche anjaan hogi
kahānī mirī garche anjān hogī
ye merī ġhazal merī pahchān hogī
safīne ko jab Dūbne kā ho ḳhadsha
mashiyyat ḳhudā kī nigahbān hogī
samajhtī rahūñgī usī ko maiñ rahbar
nahīñ to anā us kī qurbān hogī
nasheman jalāo magar yaad rakho
tumhārī anā ḳhud pashemān hogī
chamak meñ sitāroñ kī kuchh DhūñDhtī hai
mirī hī tarah vo bhī nādān hogī
vo ḳhud hukm ke marhale se to guzre
sar-e-dār bhī apnī ik shaan hogī
jo fan us ko degā hayāt-e-davāmī
usī par 'shagufta' bhī qurbān hogī
kahani meri garche anjaan hogi
ye meri ghazal meri pahchan hogi
safine ko jab Dubne ka ho KHadsha
mashiyyat KHuda ki nigahban hogi
samajhti rahungi usi ko main rahbar
nahin to ana us ki qurban hogi
nasheman jalao magar yaad rakho
tumhaari ana KHud pasheman hogi
chamak mein sitaron ki kuchh DhunDhti hai
meri hi tarah wo bhi nadan hogi
wo KHud hukm ke marhale se to guzre
sar-e-dar bhi apni ek shan hogi
jo fan us ko dega hayat-e-dawami
usi par 'shagufta' bhi qurban hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.