kahani se nikalne mein zara si der lagti hai
kahani se nikalne mein zara si der lagti hai
Huzaifa Ashraf Aasmi
MORE BYHuzaifa Ashraf Aasmi
kahānī se nikalne meñ zarā sī der lagtī hai
vafā kī dhuup Dhalne meñ zarā sī der lagtī hai
ye dahshat kā hai din aisā zarā dil ko sa.mbhālo tum
yahāñ din ke badalne meñ zarā sī der lagtī hai
na jaane kab koī aañsū mirā dāman bhigo degā
nigāhoñ ko chhalakne meñ zarā sī der lagtī hai
kisī kī ḳhush-kalāmī par na mar miTnā mire yaaro
yahāñ lahje badalne meñ zarā sī der lagtī hai
'huzaifa' kab talak ḳhud ko nikhāroge sañvāroge
sudhar kar phir bigaḌne meñ zarā sī der lagtī hai
kahani se nikalne mein zara si der lagti hai
wafa ki dhup Dhalne mein zara si der lagti hai
ye dahshat ka hai din aisa zara dil ko sambhaalo tum
yahan din ke badalne mein zara si der lagti hai
na jaane kab koi aansu mera daman bhigo dega
nigahon ko chhalakne mein zara si der lagti hai
kisi ki KHush-kalami par na mar miTna mere yaro
yahan lahje badalne mein zara si der lagti hai
'huzaifa' kab talak KHud ko nikhaaroge sanwaroge
sudhar kar phir bigaDne mein zara si der lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.