kahani to muammai nahin hai
kahānī to mu'ammā.ī nahīñ hai
tujhe shāyad samajh aa.ī nahīñ hai
take jaatā huuñ ab bhī terā rasta
bhale āñkhoñ meñ bīnā.ī nahīñ hai
abhī paise ikaTThe kar rahā huuñ
abhī tasvīr banvā.ī nahīñ hai
abhī se mutma.in honā burā hai
abhī manzil nazar aa.ī nahīñ hai
ġhazal kahne ko āmāda haiñ lekin
abhī tasvīr ban paa.ī nahīñ hai
baroz-e-‘īd us ke ghar hai faaqa
qabā maiñ ne bhī silvā.ī nahīñ hai
abhī is vāste ḳhāmosh huuñ maiñ
abhī 'izzat pe ban aa.ī nahīñ hai
rah-e-ulfat se tum ghabrā rahe ho
ye shauq-e-ābla-pā.ī nahīñ hai
haiñ kis vahm-o-gumāñ meñ aap 'az.har'
mohabbat alf-lailā.ī nahīñ hai
kahani to mu'ammai nahin hai
tujhe shayad samajh aai nahin hai
take jata hun ab bhi tera rasta
bhale aankhon mein binai nahin hai
abhi paise ikaTThe kar raha hun
abhi taswir banwai nahin hai
abhi se mutmain hona bura hai
abhi manzil nazar aai nahin hai
ghazal kahne ko aamada hain lekin
abhi taswir ban pai nahin hai
baroz-e-‘id us ke ghar hai faqa
qaba main ne bhi silwai nahin hai
abhi is waste KHamosh hun main
abhi 'izzat pe ban aai nahin hai
rah-e-ulfat se tum ghabra rahe ho
ye shauq-e-abla-pai nahin hai
hain kis wahm-o-guman mein aap 'azhar'
mohabbat alf-lailai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.