kahaniyan KHamosh hain paheliyan udas hain
kahāniyāñ ḳhamosh haiñ paheliyāñ udaas haiñ
hañsī-ḳhushī ke din ga.e haveliyāñ udaas haiñ
kabhī kabhī to baaġh meñ chalā aa ghūmtā huā
ki TūTne kī chaah meñ chameliyāñ udaas haiñ
phaloñ ke bojh se lachak ga.ī haiñ Dāliyāñ magar
abhī talak gulāb sī hatheliyāñ udaas haiñ
ye chāñdnī bahār ye kalī ye jhiil ye fazā
tire baġhair terī sab saheliyāñ udaas haiñ
jhulas gayā hai peḌ ye hinā kā jab se dhuup meñ
hamāre gaañv kī na.ī-naveliyāñ udaas haiñ
kahaniyan KHamosh hain paheliyan udas hain
hansi-KHushi ke din gae haweliyan udas hain
kabhi kabhi to bagh mein chala aa ghumta hua
ki TuTne ki chah mein chameliyan udas hain
phalon ke bojh se lachak gai hain Daliyan magar
abhi talak gulab si hatheliyan udas hain
ye chandni bahaar ye kali ye jhil ye faza
tere baghair teri sab saheliyan udas hain
jhulas gaya hai peD ye hina ka jab se dhup mein
hamare ganw ki nai-naweliyan udas hain
- Book : Pehchan (Pg. 20)
- Author : Ateeq Anzar
- Publication : Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.