kahaniyon ki kitab mein gum
kahāniyoñ kī kitāb meñ gum
huī hai sachchā.ī ḳhvāb meñ gum
tufūliyat kā pasand chehra
javāñ huā aur naqāb meñ gum
gulāb kāġhaz meñ gum haiñ aise
hasīn manzar sarāb meñ gum
chhalak paḌī jab nigāh-e-sāqī
hue haiñ sāġhar sharāb meñ gum
habāb ko gum kare samundar
abhī hai sāgar habāb meñ gum
haiñ zā.iqe ke hazār pahlū
bas ek mīThe savāb meñ gum
kahaniyon ki kitab mein gum
hui hai sachchai KHwab mein gum
tufuliyat ka pasand chehra
jawan hua aur naqab mein gum
gulab kaghaz mein gum hain aise
hasin manzar sarab mein gum
chhalak paDi jab nigah-e-saqi
hue hain saghar sharab mein gum
habab ko gum kare samundar
abhi hai sagar habab mein gum
hain zaiqe ke hazar pahlu
bas ek miThe sawab mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.