kahaniyon ne zara khinch kar badan apne
kahāniyoñ ne zarā khīñch kar badan apne
haram-sarā se bulāyā hameñ vatan apne
khule gale kī qamīseñ khule gale ke firāq
ye laḌkiyāñ haiñ badaltī haiñ pairahan apne
ġhadar ke phuul sajātī haiñ aise bāloñ meñ
sambhāl saktī hoñ jaise bhare badan apne
ajab bhaḌak hai sharāboñ kī aur āñkhoñ kī
balā hai husn bidakne lage haiñ ban apne
parā.e dard kī Thikrī se ghar kareñ raushan
ki siflagī kī riyāzat meñ haiñ magan apne
ye inkisār ke putle ye sīm-o-zar kī sanā
ye masḳhare haiñ ki chole meñ gorkan apne
hameñ nikālo gharoñ kī kamīn gāhoñ se
lahū ke ram se dahakne lage ḳhutan apne
ham ehtiyāj ke hujroñ se rizq chunte hue
zamīñ ke ḳhvān pe rakhne lage lagan apne
ye ārzūoñ ke chaqmāq se jale siine
jo ātishīñ haiñ magar nochte haiñ tan apne
yahāñ zamīn pe balve yahāñ zamīñ pe fasād
nikāl rakhte haiñ sandūq se kafan apne
vo baas duur ke ḳhatoñ kī auratoñ meñ uḌī
jise jahāzoñ meñ laa.e the ham-suḳhan apne
kahaniyon ne zara khinch kar badan apne
haram-sara se bulaya hamein watan apne
khule gale ki qamisen khule gale ke firaq
ye laDkiyan hain badalti hain pairahan apne
ghadar ke phul sajati hain aise baalon mein
sambhaal sakti hon jaise bhare badan apne
ajab bhaDak hai sharabon ki aur aankhon ki
bala hai husn bidakne lage hain ban apne
parae dard ki Thikri se ghar karen raushan
ki siflagi ki riyazat mein hain magan apne
ye inkisar ke putle ye sim-o-zar ki sana
ye masKHare hain ki chole mein gorkan apne
hamein nikalo gharon ki kamin gahon se
lahu ke ram se dahakne lage KHutan apne
hum ehtiyaj ke hujron se rizq chunte hue
zamin ke KHwan pe rakhne lage lagan apne
ye aarzuon ke chaqmaq se jale sine
jo aatishin hain magar nochte hain tan apne
yahan zamin pe balwe yahan zamin pe fasad
nikal rakhte hain sanduq se kafan apne
wo bas dur ke KHaton ki auraton mein uDi
jise jahazon mein lae the ham-suKHan apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.