kabhi chaaragari karna kabhi bimar ho jaana
kabhī chāragarī karnā kabhī bīmār ho jaanā
kahe jis vaqt jaisā hone ko sansār ho jaanā
ġhazal-go prism jaisā hī to kuchh hotā hai ḳhud dekho
ḳhamoshī kā guzarnā us se aur ash'ār ho jaanā
chuninda log haiñ jin ko mayassar ye suhūlat hai
kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā
jo tum se baḌh na paayā rāsta merā kabhī aage
to darvāze kī sūrat meñ tum ik dīvār ho jaanā
samajhnā inqalāb aur 'ishq meñ antar nahīñ kuchh bhī
hai 'fānī' vīr-ras kā ḳhud-baḳhud shringār ho jaanā
kabhi chaaragari karna kabhi bimar ho jaana
kahe jis waqt jaisa hone ko sansar ho jaana
ghazal-go prism jaisa hi to kuchh hota hai KHud dekho
KHamoshi ka guzarna us se aur ash'ar ho jaana
chuninda log hain jin ko mayassar ye suhulat hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
jo tum se baDh na paya rasta mera kabhi aage
to darwaze ki surat mein tum ek diwar ho jaana
samajhna inqalab aur 'ishq mein antar nahin kuchh bhi
hai 'fani' wir-ras ka KHud-baKHud shringar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.