Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahe to kaun kahe sarguzasht-e-aKHir-e-shab

Suroor Barabankvi

kahe to kaun kahe sarguzasht-e-aKHir-e-shab

Suroor Barabankvi

MORE BYSuroor Barabankvi

    kahe to kaun kahe sarguzasht-e-āḳhir-e-shab

    junūñ hai sar-ba-garebāñ ḳhirad hai mohr-ba-lab

    hudūd-e-shauq manzil se tā-ba-hadd-e-adab

    hazār marhala-e-jāñ gudāz o sabr-talab

    ye ālam-e-qad-o-gesū ye husn-e-āriz-o-lab

    tamām nik.hat-o-naġhma tamām sher-o-adab

    badal sakā na zamāna mizāj-e-ahl-e-junūñ

    vahī diloñ ke taqāze vahī nazar talab

    hazār harf-e-hikāyat vo ek nīm-nigāh

    hazār va.ada-o-paimāñ vo ek jumbish-e-lab

    thake thake se sitāre dhuāñ dhuāñ fazā

    bahut qarīb hai shāyad savād-e-manzil-e-shab

    'surūr' manzil-e-jānāñ hai kab se chashm-ba-rāh

    bhaTak rahā hai kahāñ kārvān-e-shauq-o-talab

    kahe to kaun kahe sarguzasht-e-aKHir-e-shab

    junun hai sar-ba-gareban KHirad hai mohr-ba-lab

    hudud-e-shauq ki manzil se ta-ba-hadd-e-adab

    hazar marhala-e-jaan gudaz o sabr-talab

    ye aalam-e-qad-o-gesu ye husn-e-ariz-o-lab

    tamam nikhat-o-naghma tamam sher-o-adab

    badal saka na zamana mizaj-e-ahl-e-junun

    wahi dilon ke taqaze wahi nazar ki talab

    hazar harf-e-hikayat wo ek nim-nigah

    hazar wada-o-paiman wo ek jumbish-e-lab

    thake thake se sitare dhuan dhuan si faza

    bahut qarib hai shayad sawad-e-manzil-e-shab

    'surur' manzil-e-jaanan hai kab se chashm-ba-rah

    bhaTak raha hai kahan karwan-e-shauq-o-talab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now