kahe ye kaun makan apna la-makan apna
kahe ye kaun makāñ apnā lā-makāñ apnā
azal ke ba.ad se miltā hai kuchh nishāñ apnā
hai kuchh to baat ki da.avā hai ik jahāñ kā yahī
ki tū hai apnā zamīñ apnī āsmāñ apnā
har ek gaam pe har samt hai sujūd-e-niyāz
dayār-e-yār ko jaatā hai kārvāñ apnā
nazar bhī daftar-e-a.amāl par vo kar na sake
thā apnā haal zabāñ apnī aur bayāñ apnā
dar-e-raqīb pe sajde meñ aah dam toḌeñ
ho jin kā qaul sar apnā hai āstāñ apnā
adam se pahle kī hālat adam ke ba.ad kā haal
mujhī se pūchh ki maiñ ḳhud huuñ rāz-dāñ apnā
ye pūchhtā hai ki kyoñ dil meñ hai ik aag lagī
ye dekhtā nahīñ jaltā hai āshiyāñ apnā
nahīñ ḳhayāl-e-nasheman malāl hai to ye hai
ki ham ne aap ujāḌā hai āshiyāñ apnā
har ek sho.ala laraztā hai aur ham chup haiñ
qafas ke sāmne jaltā hai āshiyāñ apnā
girī thī kauñd ke bijlī kabhī nasheman par
ye dekhtā huuñ ki jaltā hai āshiyāñ apnā
abhī jamāl se parde hazār baaqī haiñ
harīm-e-yār meñ 'beḳhud' guzar kahāñ apnā
kahe ye kaun makan apna la-makan apna
azal ke baad se milta hai kuchh nishan apna
hai kuchh to baat ki dawa hai ek jahan ka yahi
ki tu hai apna zamin apni aasman apna
har ek gam pe har samt hai sujud-e-niyaz
dayar-e-yar ko jata hai karwan apna
nazar bhi daftar-e-amal par wo kar na sake
tha apna haal zaban apni aur bayan apna
dar-e-raqib pe sajde mein aah dam toDen
ho jin ka qaul sar apna hai aastan apna
adam se pahle ki haalat adam ke baad ka haal
mujhi se puchh ki main KHud hun raaz-dan apna
ye puchhta hai ki kyon dil mein hai ek aag lagi
ye dekhta nahin jalta hai aashiyan apna
nahin KHayal-e-nasheman malal hai to ye hai
ki hum ne aap ujaDa hai aashiyan apna
har ek shoala larazta hai aur hum chup hain
qafas ke samne jalta hai aashiyan apna
giri thi kaund ke bijli kabhi nasheman par
ye dekhta hun ki jalta hai aashiyan apna
abhi jamal se parde hazar baqi hain
harim-e-yar mein 'beKHud' guzar kahan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.