kahen kya KHanda-lab kyon hum hain yaro
kaheñ kyā ḳhanda-lab kyoñ ham haiñ yaaro
hamāre paas bhī kuchh ġham haiñ yaaro
qitāl-e-ġham to lākhoñ mil rahe haiñ
magar kuchh hī shahīd-e-ġham haiñ yaaro
mohabbat meñ ba-zo.am-e-jur.at-e-dil
ham un meñ haiñ jo mustahkam haiñ yaaro
siyāsat ke nashe meñ ahl-e-dānish
shikār-e-laġhzish-e-paiham haiñ yaaro
hamārī mastiyoñ kā raaz kyā hai
ki jab muddat se tishna ham haiñ yaaro
mohabbat aisī shīrīñ shai hai jis meñ
hazāroñ talḳhiyāñ mudġham haiñ yaaro
kahen kya KHanda-lab kyon hum hain yaro
hamare pas bhi kuchh gham hain yaro
qital-e-gham to lakhon mil rahe hain
magar kuchh hi shahid-e-gham hain yaro
mohabbat mein ba-zoam-e-jurat-e-dil
hum un mein hain jo mustahkam hain yaro
siyasat ke nashe mein ahl-e-danish
shikar-e-laghzish-e-paiham hain yaro
hamari mastiyon ka raaz kya hai
ki jab muddat se tishna hum hain yaro
mohabbat aisi shirin shai hai jis mein
hazaron talKHiyan mudgham hain yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.