kahen kya tum sun be-dard logo kisi se ji ka maram na paya
kahen kya tum sun be-dard logo kisi se ji ka maram na paya
Abroo Shah Mubarak
MORE BYAbroo Shah Mubarak
kaheñ kyā tum suuñ be-dard logo kisī se jī kā maram na paayā
kabhī na būjhī yathā hamārī birah niiñ kyā ab hameñ satāyā
lagā hai birhā jigar kuuñ khāne hue haiñ tīroñ ke ham nishāne
deveñ haiñ sauteñ haman kuuñ ta.ane ki tujh ko kab.hūñ na muñh lagāyā
rakhe na dil meñ kisī kī chintā gale meñ Daale birah kī kanThā
daras kī ḳhātir tumhāre mantā bhikāran apnā baran banāyā
lagī haiñ jī par birah kī ghāteñ talaf talaf kar bahā.eñ rāteñ
tumhārī jin niiñ banā.īñ bāteñ akārat apnā janam gañvāyā
gilā mamolā ye sab abas hai apas ke ochhe karam kā jas hai
hamārā pyāre kaho kyā bas hai tumhāre jī meñ agar yuuñ aayā
jo dukh paḌegā sahā karūñgī jase kahoge rahā karūñgī
tuman kuuñ nis din duā karūñgī sakhī salāmat raho ḳhudā-yā
kahen kya tum sun be-dard logo kisi se ji ka maram na paya
kabhi na bujhi yatha hamari birah nin kya ab hamein sataya
laga hai birha jigar kun khane hue hain tiron ke hum nishane
dewen hain sauten haman kun tane ki tujh ko kabhun na munh lagaya
rakhe na dil mein kisi ki chinta gale mein Dale birah ki kanTha
daras ki KHatir tumhaare manta bhikaran apna baran banaya
lagi hain ji par birah ki ghaten talaf talaf kar bahaen raaten
tumhaari jin nin banain baaten akarat apna janam ganwaya
gila mamola ye sab abas hai apas ke ochhe karam ka jas hai
hamara pyare kaho kya bas hai tumhaare ji mein agar yun aaya
jo dukh paDega saha karungi jase kahoge raha karungi
tuman kun nis din dua karungi sakhi salamat raho KHuda-ya
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.