kahin aane ke hain na jaane ke
kahin aane ke hain na jaane ke
Khaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
MORE BYKhaleel-ul-Huda Shariq Niyazi
kahīñ aane ke haiñ na jaane ke
ham haiñ naqsh-e-qadam zamāne ke
tīliyāñ jab qafas kī TuuTī haiñ
kaam aa.ī haiñ āshiyāne ke
kis qadar zindagī se milte haiñ
chañd hisse mire fasāne ke
aaj tak ḳhvāb kā sā 'ālam hai
ḳhvāb dekhe the kis zamāne ke
chañd aañsū matā-e-dīda-o-dil
nazr-e-ġham ho ga.e zamāne ke
zulf-e-barham hai aap kis ke liye
ho rahe aa.ine ke shāne ke
jo sunā.e na jā sakeñ 'shāriq'
vahī afsāne haiñ sunāne ke
kahin aane ke hain na jaane ke
hum hain naqsh-e-qadam zamane ke
tiliyan jab qafas ki TuTi hain
kaam aai hain aashiyane ke
kis qadar zindagi se milte hain
chand hisse mere fasane ke
aaj tak KHwab ka sa 'alam hai
KHwab dekhe the kis zamane ke
chand aansu mata-e-dida-o-dil
nazr-e-gham ho gae zamane ke
zulf-e-barham hai aap kis ke liye
ho rahe aaine ke shane ke
jo sunae na ja saken 'shaariq'
wahi afsane hain sunane ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.