kahin bhi ba-KHuda koi nahin hai
kahīñ bhī bā-ḳhudā koī nahīñ hai
yaqīnan aap sā koī nahīñ hai
vahāñ maujūd huuñ ḳhud sar-ba-sar maiñ
jahāñ tak dekhtā koī nahīñ hai
kamāl-e-fikr kā da.avā hai sab ko
agarche sochtā koī nahīñ hai
maiñ kaise haath tujh ko chhoḌne duuñ
mirā tere sivā koī nahīñ hai
maiñ aise shahr meñ maarā gayā huuñ
jahāñ pe ḳhūñ-bahā koī nahīñ hai
maiñ hāzir huuñ mujhe apnā banā leñ
sunā hai aap kā koī nahīñ hai
jo pūchhā hai koī ghar meñ to 'sānī'
kisī ne dī sadā koī nahīñ hai
kahin bhi ba-KHuda koi nahin hai
yaqinan aap sa koi nahin hai
wahan maujud hun KHud sar-ba-sar main
jahan tak dekhta koi nahin hai
kamal-e-fikr ka dawa hai sab ko
agarche sochta koi nahin hai
main kaise hath tujh ko chhoDne dun
mera tere siwa koi nahin hai
main aise shahr mein mara gaya hun
jahan pe KHun-baha koi nahin hai
main hazir hun mujhe apna bana len
suna hai aap ka koi nahin hai
jo puchha hai koi ghar mein to 'sani'
kisi ne di sada koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.