kahin bhi jaun par mujhko sukun-e-dil nahin milta
kahīñ bhī jā.ūñ par mujh ko sukūn-e-dil nahīñ miltā
nahīñ miltā mujhe vo naqsha-e-qātil nahīñ miltā
madad-gār-e-mohabbat the tumhīñ bahr-e-mohabbat meñ
tumhāre baad koī rahbar-e-kāmil nahīñ miltā
tumhārā hī bharosa thā mujhe dushvār rāhoñ meñ
ab in rāhoñ meñ koī rahrav-e-manzil nahīñ miltā
savāl-e-zindagī mushkil hai par mushkil nahīñ mushkil
agar mushkil hai mushkil ko hal-e-mushkil nahīñ miltā
hijābāna hī sūrat se tumhārī maiñ sañbhal letā
magar mushkil hai mushkil ko lab-e-sāhil nahīñ miltā
hamārā rāz-e-dil hī kyā na sunte ho na pūchhoge
nahīñ miltā tumhārā hī mizāj-e-dil nahīñ miltā
muqaddar ko tire manzūr kuchh 'ġham' hai to ye hī hai
ki tujh sā is zamāne meñ koī be-dil nahīñ miltā
kahin bhi jaun par mujh ko sukun-e-dil nahin milta
nahin milta mujhe wo naqsha-e-qatil nahin milta
madad-gar-e-mohabbat the tumhin bahr-e-mohabbat mein
tumhaare baad koi rahbar-e-kaamil nahin milta
tumhaara hi bharosa tha mujhe dushwar rahon mein
ab in rahon mein koi rahraw-e-manzil nahin milta
sawal-e-zindagi mushkil hai par mushkil nahin mushkil
agar mushkil hai mushkil ko hal-e-mushkil nahin milta
hijabana hi surat se tumhaari main sanbhal leta
magar mushkil hai mushkil ko lab-e-sahil nahin milta
hamara raaz-e-dil hi kya na sunte ho na puchhoge
nahin milta tumhaara hi mizaj-e-dil nahin milta
muqaddar ko tere manzur kuchh 'gham' hai to ye hi hai
ki tujh sa is zamane mein koi be-dil nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.