kahin bhi rang-o-bu baqi nahin hai
kahīñ bhī rang-o-bū baaqī nahīñ hai
chaman kī aabrū baaqī nahīñ hai
talab kī kaun sī manzil hai yaaro
kisī kī justujū baaqī nahīñ hai
tumheñ chāhā tumheñ sochā hai itnā
tumhārī aarzū baaqī nahīñ hai
sitam sah kar bhī tum ḳhāmosh kyoñ ho
ragoñ meñ kyā lahū baaqī nahīñ hai
'majīd' ab sāmnā hai dostoñ kā
yahāñ koī adū baaqī nahīñ hai
kahin bhi rang-o-bu baqi nahin hai
chaman ki aabru baqi nahin hai
talab ki kaun si manzil hai yaro
kisi ki justuju baqi nahin hai
tumhein chaha tumhein socha hai itna
tumhaari aarzu baqi nahin hai
sitam sah kar bhi tum KHamosh kyon ho
ragon mein kya lahu baqi nahin hai
'majid' ab samna hai doston ka
yahan koi adu baqi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.