kahin bhi wafa ki nishani nahin hai
kahīñ bhī vafā kī nishānī nahīñ hai
yazīdoñ kī bastī hai paanī nahīñ hai
jo tujh se bichhaḌ kar jiye jā rahe haiñ
vo ik qarz hai zindagānī nahīñ hai
mirī himmatoñ ko Dubonā hai mushkil
samundar meñ ab itnā paanī nahīñ hai
hamesha hamesha javāñ hī rahegā
mirā dil hai terī javānī nahīñ hai
zarā ġhaur se suniye hālāt mere
fasāna nahīñ hai kahānī nahīñ hai
ajab in dinoñ haal hai mere dil kā
bahāroñ kī rut bhī suhānī nahīñ hai
sambhal kar zarā 'nūr' sāhab sambhal kar
chamakte gilāsoñ meñ paanī nahīñ hai
kahin bhi wafa ki nishani nahin hai
yazidon ki basti hai pani nahin hai
jo tujh se bichhaD kar jiye ja rahe hain
wo ek qarz hai zindagani nahin hai
meri himmaton ko Dubona hai mushkil
samundar mein ab itna pani nahin hai
hamesha hamesha jawan hi rahega
mera dil hai teri jawani nahin hai
zara ghaur se suniye haalat mere
fasana nahin hai kahani nahin hai
ajab in dinon haal hai mere dil ka
bahaaron ki rut bhi suhani nahin hai
sambhal kar zara 'nur' sahab sambhal kar
chamakte gilason mein pani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.