kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab TuTe
kahīñ charāġhoñ ko niiñd aa.e kahīñ pe rabt-e-hijāb TuuTe
kisī kī āñkhoñ kī jaage qismat kisī kā band-e-naqāb TuuTe
tumhārī āñkhoñ ke sāmne hī hamārī āñkhoñ kā ḳhvāb TuuTe
fazā kī rañgīn titliyoñ kī nazar se shāḳh-e-gulāb TuuTe
dayār-e-shab ke the sab musāfir sukūt-e-shab to sabhī ne toḌā
to muntaḳhab ik hamī hoñ kaahe hamī pe kyoñ ye azaab TuuTe
na kar jabīn-e-ḳhiyām zaḳhmī na sah azāboñ kī dhuup sar pe
na kar havāoñ kī parvarish yuuñ ki zor-āvar tanāb TuuTe
vo jis kī miTTī meñ pal rahe the shagūfe amn-o-amāñ ke logo
usī pe barsā lahū kā bādal usī pe saare azaab TuuTe
'asad' ghaTā.eñ ye tīrgī kī tabhī chhaTeñgī ki jab falak par
kisī ke māthe kā chāñd chamke kisī nazar kā shahāb TuuTe
kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab TuTe
kisi ki aankhon ki jage qismat kisi ka band-e-naqab TuTe
tumhaari aankhon ke samne hi hamari aankhon ka KHwab TuTe
faza ki rangin titliyon ki nazar se shaKH-e-gulab TuTe
dayar-e-shab ke the sab musafir sukut-e-shab to sabhi ne toDa
to muntaKHab ek hami hon kahe hami pe kyon ye azab TuTe
na kar jabin-e-KHiyam zaKHmi na sah azabon ki dhup sar pe
na kar hawaon ki parwarish yun ki zor-awar tanab TuTe
wo jis ki miTTi mein pal rahe the shagufe amn-o-aman ke logo
usi pe barsa lahu ka baadal usi pe sare azab TuTe
'asad' ghaTaen ye tirgi ki tabhi chhaTengi ki jab falak par
kisi ke mathe ka chand chamke kisi nazar ka shahab TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.