kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota
kahīñ dariyā nahīñ hotā kahīñ sahrā nahīñ hotā
zarūrat par hamārī koī bhī apnā nahīñ hotā
kahānī ḳhatm ho jaatī koī sadma nahīñ hotā
bichhaḌte vaqt vo chhup kar agar royā nahīñ hotā
batāo kaun sī shai kī kamī hai mere paikar meñ
mujhe samjhāo merā aks kyuuñ samjhā nahīñ hotā
tumhārī yaad ke saa.e meñ yuuñ har-vaqt rahtā huuñ
maiñ tanhā rah bhī jā.ūñ to kabhī tanhā nahīñ hotā
mohabbat meñ yahī nazārgī to lutf detī hai
koī khiḌkī nahīñ hotī koī parda nahīñ hotā
tasallī aur dilāse sab ke sab be-kār jaate haiñ
na jaane kis tarah bikhrā huuñ maiñ yakjā nahīñ hotā
use tum dhuup meñ barsāt meñ kohre meñ rakh dekho
'pavan' vo aa.ina hai jo kabhī dhuñdhlā nahīñ hotā
kahin dariya nahin hota kahin sahra nahin hota
zarurat par hamari koi bhi apna nahin hota
kahani KHatm ho jati koi sadma nahin hota
bichhaDte waqt wo chhup kar agar roya nahin hota
batao kaun si shai ki kami hai mere paikar mein
mujhe samjhao mera aks kyun samjha nahin hota
tumhaari yaad ke sae mein yun har-waqt rahta hun
main tanha rah bhi jaun to kabhi tanha nahin hota
mohabbat mein yahi nazargi to lutf deti hai
koi khiDki nahin hoti koi parda nahin hota
tasalli aur dilase sab ke sab be-kar jate hain
na jaane kis tarah bikhra hun main yakja nahin hota
use tum dhup mein barsat mein kohre mein rakh dekho
'pawan' wo aaina hai jo kabhi dhundhla nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.