kahin diwar hai to dar ghaeb
kahīñ dīvār hai to dar ġhā.eb
aur kahīñ par hamārā ghar ġhā.eb
ham-safar hai kahīñ safar ġhā.eb
hai safar gar to ham-safar ġhā.eb
ai ḳhudā kaun sā tilism hai ye
jism maujūd haiñ ye sar ġhā.eb
shauq-e-parvāz hai sabhī meñ magar
tā.irān-e-chaman ke par ġhā.eb
āsmāñ bhī nahīñ rahā sar par
us pe paañv se hai safar ġhā.eb
maiñ bhī bai'at karūñ ba-dast-e-hunar
dard-e-dil ko jigar se kar ġhā.eb
mujh pe paḌtī nahīñ koī bhī nazar
maiñ bhī mahfil meñ huuñ magar ġhā.eb
tum raho aañkh meñ to behtar hai
duur hoñ gar to bahr-o-bar ġhā.eb
yā to maujūd hī nahīñ vo rahā
yā koī aañkh se nazar ġhā.eb
ishq ke baam par vo hai maujūd
kāsa-e-shām se qamar ġhā.eb
qaht kaisā paḌā hai ab ke baras
dast-e-fan-kār se hunar ġhā.eb
sāmne manzileñ sabhī mādūm
muḌ ke dekhūñ to chārāgar ġhā.eb
zaḳhm 'tāhir-adīm' kaise bhare
har davā se huā asar ġhā.eb
kahin diwar hai to dar ghaeb
aur kahin par hamara ghar ghaeb
ham-safar hai kahin safar ghaeb
hai safar gar to ham-safar ghaeb
ai KHuda kaun sa tilism hai ye
jism maujud hain ye sar ghaeb
shauq-e-parwaz hai sabhi mein magar
tairan-e-chaman ke par ghaeb
aasman bhi nahin raha sar par
us pe panw se hai safar ghaeb
main bhi bai'at karun ba-dast-e-hunar
dard-e-dil ko jigar se kar ghaeb
mujh pe paDti nahin koi bhi nazar
main bhi mahfil mein hun magar ghaeb
tum raho aankh mein to behtar hai
dur hon gar to bahr-o-bar ghaeb
ya to maujud hi nahin wo raha
ya koi aankh se nazar ghaeb
ishq ke baam par wo hai maujud
kasa-e-sham se qamar ghaeb
qaht kaisa paDa hai ab ke baras
dast-e-fan-kar se hunar ghaeb
samne manzilen sabhi madum
muD ke dekhun to chaaragar ghaeb
zaKHm 'tahir-adim' kaise bhare
har dawa se hua asar ghaeb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.