kahin din Dhala kahin shab hui kahin sham aai sahar gai
kahīñ din Dhalā kahīñ shab huī kahīñ shaam aa.ī sahar ga.ī
kisī bevafā kī talāsh meñ mirī umr yuuñ hī guzar ga.ī
tere husn-e-ishq-e-navāz ne mujhe ḳhush-nasīb banā diyā
mire ranj-o-ġham ko miTā diyā mirī ḳhasta-hālī sañvar ga.ī
maiñ kise sunā.ūñ ye dāstāñ maiñ kise batā.ūñ ye mājrā
kisī nāznīñ kī har ik adā mire dil jigar meñ utar ga.ī
tire jalve zīnat-e-gulsitāñ tū hī mehr-o-māh meñ zau-fishāñ
tire husn se huī āshnā jahāñ tak hamārī nazar ga.ī
tumheñ yaad maiñ na karūñ kabhī tumheñ apne dil se nikāl duuñ
yahī kaam mujh se na ho sakā mirī zindagānī guzar ga.ī
kahin din Dhala kahin shab hui kahin sham aai sahar gai
kisi bewafa ki talash mein meri umr yun hi guzar gai
tere husn-e-ishq-e-nawaz ne mujhe KHush-nasib bana diya
mere ranj-o-gham ko miTa diya meri KHasta-haali sanwar gai
main kise sunaun ye dastan main kise bataun ye majra
kisi naznin ki har ek ada mere dil jigar mein utar gai
tere jalwe zinat-e-gulsitan tu hi mehr-o-mah mein zau-fishan
tere husn se hui aashna jahan tak hamari nazar gai
tumhein yaad main na karun kabhi tumhein apne dil se nikal dun
yahi kaam mujh se na ho saka meri zindagani guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.