kahin din guzar gaya hai kahin raat kaT gai hai
kahīñ din guzar gayā hai kahīñ raat kaT ga.ī hai
ye na pūchh kaise tujh bin ye hayāt kaT ga.ī hai
ye udaas udaas mausam ye ḳhizāñ ḳhizāñ fazā.eñ
vahī zindagī thī jitnī tire saath kaT ga.ī hai
na tujhe ḳhabar hai merī na mujhe ḳhabar hai terī
tirī dāstāñ se jaise mirī zaat kaT ga.ī hai
ye tirā mizāj tauba ye tirā ġhurūr tauba
tirī bazm meñ hamesha mirī baat kaT ga.ī hai
tire intizār meñ maiñ jalī ḳhud charāġh ban kar
tirī aarzū meñ aksar yūñhī raat kaT ga.ī hai
na vo ham-ḳhayāl merā na vo ham-mizāj merā
phir usī ke saath kaise ye hayāt kaT ga.ī hai
ye kitāb qismatoñ kī likhī kis qalam ne 'nik.hat'
kahīñ par to shah kaTī hai kahīñ maat kaT ga.ī hai
kahin din guzar gaya hai kahin raat kaT gai hai
ye na puchh kaise tujh bin ye hayat kaT gai hai
ye udas udas mausam ye KHizan KHizan fazaen
wahi zindagi thi jitni tere sath kaT gai hai
na tujhe KHabar hai meri na mujhe KHabar hai teri
teri dastan se jaise meri zat kaT gai hai
ye tera mizaj tauba ye tera ghurur tauba
teri bazm mein hamesha meri baat kaT gai hai
tere intizar mein main jali KHud charagh ban kar
teri aarzu mein aksar yunhi raat kaT gai hai
na wo ham-KHayal mera na wo ham-mizaj mera
phir usi ke sath kaise ye hayat kaT gai hai
ye kitab qismaton ki likhi kis qalam ne 'nikhat'
kahin par to shah kaTi hai kahin mat kaT gai hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 90)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.