kahin fasana-e-gham hai kahin KHushi ki pukar
kahīñ fasāna-e-ġham hai kahīñ ḳhushī kī pukār
sunegā aaj yahāñ kaun zindagī kī pukār
ḳhudā shanās hai zāhid magar nahīñ ma.alūm
ki aadmī ko jagātī hai aadmī kī pukār
libās-e-sub.h meñ hai koī rahbar-e-sādiq
jagā rahī hai añdhere ko raushnī kī pukār
fuġhān-e-rūh-e-mohabbat thī yā sadā-e-habīb
sunī to hai dil-e-ḳhāmosh ne kisī kī pukār
tirā sukūt na rusvā kare 'ravish' tujh ko
ki duur duur pahuñchtī hai ḳhāmushī kī pukār
kahin fasana-e-gham hai kahin KHushi ki pukar
sunega aaj yahan kaun zindagi ki pukar
KHuda shanas hai zahid magar nahin malum
ki aadmi ko jagati hai aadmi ki pukar
libas-e-subh mein hai koi rahbar-e-sadiq
jaga rahi hai andhere ko raushni ki pukar
fughan-e-ruh-e-mohabbat thi ya sada-e-habib
suni to hai dil-e-KHamosh ne kisi ki pukar
tera sukut na ruswa kare 'rawish' tujh ko
ki dur dur pahunchti hai KHamushi ki pukar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.