kahin giraft nahin koi istiara nahin
kahīñ giraft nahīñ koī isti.ārā nahīñ
navāñ falak huuñ ki jis par koī sitārā nahīñ
ruke muñDer pe kab tā.irān-e-rañg sadā
sabāt ho jise aisā koī nazārā nahīñ
ulajh rahā hai mirā baḳht phir mire dil se
hamārā kaise hai vo shaḳhs jo hamārā nahīñ
darā-e-sarhad-e-aql-o-ḳhirad agar hai ḳhalā
to ye na samjheñ ki is bahr kā kinārā nahīñ
ham ahl-e-dil the so ye hādisa to honā thā
ki ahd vo bhī sahā hai jise guzārā nahīñ
kahin giraft nahin koi istiara nahin
nawan falak hun ki jis par koi sitara nahin
ruke munDer pe kab tairan-e-rang sada
sabaat ho jise aisa koi nazara nahin
ulajh raha hai mera baKHt phir mere dil se
hamara kaise hai wo shaKHs jo hamara nahin
dara-e-sarhad-e-aql-o-KHirad agar hai KHala
to ye na samjhen ki is bahr ka kinara nahin
hum ahl-e-dil the so ye hadisa to hona tha
ki ahd wo bhi saha hai jise guzara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.