kahin hue hain nigah se qarar aankhon mein
kahīñ hue haiñ nigah se qarār āñkhoñ meñ
kare hai kyoñ ye tū dār-o-madār āñkhoñ meñ
matā-e-sabr-upar barq paḌ ga.ī ai dil
huā hai jab sate vo chashm-chār āñkhoñ meñ
na jaan mujh ko tū muflis ba-zāhir ai jānāñ
bhare haiñ motī mire be-shumār āñkhoñ meñ
jab us ne pī mai-e-gul-rang jaam bhar bhar kar
maiñ kyā kahūñ huī zor hī bahār āñkhoñ meñ
nigāh-e-lutf na kī unne kyā huā ai 'alī'
ki hoñ haiñ bāteñ to aisī hazār āñkhoñ meñ
kahin hue hain nigah se qarar aankhon mein
kare hai kyon ye tu dar-o-madar aankhon mein
mata-e-sabr-upar barq paD gai ai dil
hua hai jab sate wo chashm-chaar aankhon mein
na jaan mujh ko tu muflis ba-zahir ai jaanan
bhare hain moti mere be-shumar aankhon mein
jab us ne pi mai-e-gul-rang jam bhar bhar kar
main kya kahun hui zor hi bahaar aankhon mein
nigah-e-lutf na ki unne kya hua ai 'ali'
ki hon hain baaten to aisi hazar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.