kahin jo azm zara hausla nikal aae
kahīñ jo azm zarā hausla nikal aa.e
fasīl-e-ġham se nayā rāstā nikal aa.e
na pūchh mujh se tū us husn-e-dilrubā kī kashish
jidhar bhī dekhe vahāñ aa.ina nikal aa.e
kisī navāh kī bhī baat ho magar ai dost
miyān-e-bazm tirā tazkira nikal aa.e
maiñ māntā huuñ nahīñ tujh sā dūsrā koī
koī jo tere sivā dūsrā nikal aa.e
sināñ kī nok pe aa jaa.e gar mirā sar bhī
falak se ūñchā mirā martaba nikal aa.e
maiñ us ḳhudā.ī meñ zinda huuñ ik zamāne se
har ik galī se nayā ik ḳhudā nikal aa.e
'nabīl' is liye maiñ āshiqī se baaz aayā
jise bhī pyaar karūñ bevafā nikal aa.e
kahin jo azm zara hausla nikal aae
fasil-e-gham se naya rasta nikal aae
na puchh mujh se tu us husn-e-dilruba ki kashish
jidhar bhi dekhe wahan aaina nikal aae
kisi nawah ki bhi baat ho magar ai dost
miyan-e-bazm tera tazkira nikal aae
main manta hun nahin tujh sa dusra koi
koi jo tere siwa dusra nikal aae
sinan ki nok pe aa jae gar mera sar bhi
falak se uncha mera martaba nikal aae
main us KHudai mein zinda hun ek zamane se
har ek gali se naya ek KHuda nikal aae
'nabil' is liye main aashiqi se baz aaya
jise bhi pyar karun bewafa nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.