kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain
kahīñ kā ġhussa kahīñ kī ghuTan utārte haiñ
ġhurūr ye hai kāġhaz pe fan utārte haiñ
sunī hai TūTte pattoñ kī ham ne sargoshī
ye peḌ paude bhī kyā pairahan utārte haiñ
siyāsī logoñ se ummīd kaisī ḳhāk-e-vatan
vatan kā qarz kahīñ rāhzan utārte haiñ
zamīñ pe rakh deñ agar aap apnī shamshīreñ
to ham bhī apne saroñ se kafan utārte haiñ
utar ke ruuh kī gahrā.iyoñ meñ ham har roz
ḳhud apnī qabr meñ apnā badan utārte haiñ
ḳhudā kare ki salāmat raheñ ye būḌhe shajar
ki ham parinde yahīñ par thakan utārte haiñ
kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain
ghurur ye hai kaghaz pe fan utarte hain
suni hai TuTte patton ki hum ne sargoshi
ye peD paude bhi kya pairahan utarte hain
siyasi logon se ummid kaisi KHak-e-watan
watan ka qarz kahin rahzan utarte hain
zamin pe rakh den agar aap apni shamshiren
to hum bhi apne saron se kafan utarte hain
utar ke ruh ki gahraiyon mein hum har roz
KHud apni qabr mein apna badan utarte hain
KHuda kare ki salamat rahen ye buDhe shajar
ki hum parinde yahin par thakan utarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.