kahin kahin pe andhera kahin kahin pe charagh
kahīñ kahīñ pe añdherā kahīñ kahīñ pe charāġh
du'ā karo ki jaleñ saarī sarzamīñ pe charāġh
zarā sī der meñ donoñ hī jal ke raakh hue
makāñ bhī jalne lagā jab girā makīñ pe charāġh
ye kis ko dekh ki chehra mirā damakne lagā
ye kis ne kar diye raushan mirī jabīñ pe charāġh
misāl-e-vahm-o-gumāñ ik dhuāñ sā phail gayā
parakhne ke liye rakkhā jo ik yaqīñ pe charāġh
jahāñ pe ham ko añdheroñ ne Das liyā 'maz.har'
hamārī nasl jalā.egī ab vahīñ pe charāġh
kahin kahin pe andhera kahin kahin pe charagh
du'a karo ki jalen sari sarzamin pe charagh
zara si der mein donon hi jal ke rakh hue
makan bhi jalne laga jab gira makin pe charagh
ye kis ko dekh ki chehra mera damakne laga
ye kis ne kar diye raushan meri jabin pe charagh
misal-e-wahm-o-guman ek dhuan sa phail gaya
parakhne ke liye rakkha jo ek yaqin pe charagh
jahan pe hum ko andheron ne Das liya 'mazhar'
hamari nasl jalaegi ab wahin pe charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.