kahin KHiyam lagen qarya-e-visal bhi aae
kahīñ ḳhiyām lageñ qarya-e-visāl bhī aa.e
shab-e-safar meñ kabhī sā’at-e-zavāl bhī aa.e
kisī ufuq pe to ho ittisāl-e-zulmat-o-nūr
ki ham ḳharāb bhī hoñ aur vo ḳhush-ḳhisāl bhī aa.e
suḳhan meñ kab se hai raushan ye kyā zarūrī hai
ki vo sitāra sar-e-matla'-e-misāl bhī aa.e
sunā hai sair ko niklī huī hai mauj-e-nashāt
'ajab nahīñ taraf-e-kūcha-e-malāl bhī aa.e
hameñ 'atiyya-e-tark-e-talab qubūl na thā
so ham to us kī 'ināyat pe ḳhaak Daal bhī aa.e
kahin KHiyam lagen qarya-e-visal bhi aae
shab-e-safar mein kabhi sa’at-e-zawal bhi aae
kisi ufuq pe to ho ittisal-e-zulmat-o-nur
ki hum KHarab bhi hon aur wo KHush-KHisal bhi aae
suKHan mein kab se hai raushan ye kya zaruri hai
ki wo sitara sar-e-matla'-e-misal bhi aae
suna hai sair ko nikli hui hai mauj-e-nashat
'ajab nahin taraf-e-kucha-e-malal bhi aae
hamein 'atiyya-e-tark-e-talab qubul na tha
so hum to us ki 'inayat pe KHak Dal bhi aae
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 118)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.