kahin kinae pe rakhti hai aarzu mujhko
kahīñ kinā.e pe rakhtī hai aarzū mujh ko
bahā ke duur na le jaa.e justujū mujh ko
mujhe sañbhāl mire saath chal mire saaqī
ki le chalā hai kahīñ aur ye subū mujh ko
vo peḌ huuñ jise paanī nahīñ milā kab se
mirī zamīñ ne hī rakkhā hai be-numū mujh ko
tire baġhair maiñ kaise yahāñ chalā aaya
bahut udaas karegī ye hā-o-hū mujh ko
tujhe batā.ūñ mohabbat meñ aisā hotā hai
tirī ḳhamoshī bhī lagtī hai guftugū mujh ko
kahin kinae pe rakhti hai aarzu mujh ko
baha ke dur na le jae justuju mujh ko
mujhe sanbhaal mere sath chal mere saqi
ki le chala hai kahin aur ye subu mujh ko
wo peD hun jise pani nahin mila kab se
meri zamin ne hi rakkha hai be-numu mujh ko
tere baghair main kaise yahan chala aaya
bahut udas karegi ye ha-o-hu mujh ko
tujhe bataun mohabbat mein aisa hota hai
teri KHamoshi bhi lagti hai guftugu mujh ko
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 118)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.