kahin main kam hun abhi tak kahin siwa hun main
kahīñ maiñ kam huuñ abhī tak kahīñ sivā huuñ maiñ
maiñ ban chukā huuñ yā ab tak nahīñ banā huuñ maiñ
ye aur baat ki ham ne patā lagā hī liyā
kabhī ḳhudā ne batāyā nahīñ ḳhudā huuñ maiñ
maiñ intizār meñ baiThā huuñ apne hone ke
kabhī jo pesh na aayā vo hādisa huuñ maiñ
kivāḌ khol ke pūchhā to kuchh nahīñ bolī
kivāḌ band kiye to kahā havā huuñ maiñ
mujhe manāne kī koshish to kar rahe ho tum
tumheñ ḳhabar bhī hai kis baat par ḳhafā huuñ maiñ
patā nahīñ ki ḳhudā kyoñ mujhe na sun paayā
falak se lauT ke aatī huī duā huuñ maiñ
kahin main kam hun abhi tak kahin siwa hun main
main ban chuka hun ya ab tak nahin bana hun main
ye aur baat ki hum ne pata laga hi liya
kabhi KHuda ne bataya nahin KHuda hun main
main intizar mein baiTha hun apne hone ke
kabhi jo pesh na aaya wo hadisa hun main
kiwaD khol ke puchha to kuchh nahin boli
kiwaD band kiye to kaha hawa hun main
mujhe manane ki koshish to kar rahe ho tum
tumhein KHabar bhi hai kis baat par KHafa hun main
pata nahin ki KHuda kyon mujhe na sun paya
falak se lauT ke aati hui dua hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.