kahin mandiron mein diya nahin kahin masjidon mein dua nahin
kahin mandiron mein diya nahin kahin masjidon mein dua nahin
Shakeel Azmi
MORE BYShakeel Azmi
kahīñ mandiroñ meñ diyā nahīñ kahīñ masjidoñ meñ du'ā nahīñ
mire shahr meñ haiñ ḳhudā bahut magar aadmī kā patā nahīñ
yahāñ ghaav hai yahāñ vaar hai ye siyāsatoñ kā dayār hai
yahāñ koī terā janā nahīñ yahāñ koī merā sagā nahīñ
ye jo dil meñ dard kā raag hai ye dabī huī koī aag hai
maiñ vo zaḳhm huuñ jo bharā nahīñ maiñ vo daaġh huuñ jo miTā nahīñ
kahīñ yuuñ na ho tire haath meñ maiñ havā se mil ke bhaḌak uThūñ
abhī khel mat mirī raakh se maiñ sulag rahā huuñ bujhā nahīñ
mirī tāzgī se Dare hue haiñ ka.ī purāne gulāb bhī
mire haq meñ logo du'ā karo abhī Thiik se maiñ khilā nahīñ
na maiñ bhiiḌ huuñ na maiñ shor huuñ maiñ isī liye koī aur huuñ
ka.ī rang aa.e ga.e magar koī rang mujh pe chaḌhā nahīñ
vo jo haal chaḌh ke utar gayā jo ḳhayāl tham ke guzar gayā
kabhī tū ne mujh se sunā nahīñ kabhī maiñ ne tujh se kahā nahīñ
na to merā koī raqīb thā na to merā koī habīb thā
tujhe khonā merā nasīb thā mujhe tujh se koī gila nahīñ
mujhe she'r kahnā thā kah diyā mujhe she'r paḌhnā thā paḌh diyā
mujhe tāliyoñ kī havas nahīñ mujhe shohratoñ kā nasha nahīñ
ye jo botaloñ meñ sharāb hai ye ḳharāb thī ye ḳharāb hai
ise chhoḌ de ise toḌ de ye kisī maraz kī davā nahīñ
kahin mandiron mein diya nahin kahin masjidon mein du'a nahin
mere shahr mein hain KHuda bahut magar aadmi ka pata nahin
yahan ghaw hai yahan war hai ye siyasaton ka dayar hai
yahan koi tera jana nahin yahan koi mera saga nahin
ye jo dil mein dard ka rag hai ye dabi hui koi aag hai
main wo zaKHm hun jo bhara nahin main wo dagh hun jo miTa nahin
kahin yun na ho tere hath mein main hawa se mil ke bhaDak uThun
abhi khel mat meri rakh se main sulag raha hun bujha nahin
meri tazgi se Dare hue hain kai purane gulab bhi
mere haq mein logo du'a karo abhi Thik se main khila nahin
na main bhiD hun na main shor hun main isi liye koi aur hun
kai rang aae gae magar koi rang mujh pe chaDha nahin
wo jo haal chaDh ke utar gaya jo KHayal tham ke guzar gaya
kabhi tu ne mujh se suna nahin kabhi main ne tujh se kaha nahin
na to mera koi raqib tha na to mera koi habib tha
tujhe khona mera nasib tha mujhe tujh se koi gila nahin
mujhe she'r kahna tha kah diya mujhe she'r paDhna tha paDh diya
mujhe taliyon ki hawas nahin mujhe shohraton ka nasha nahin
ye jo botalon mein sharab hai ye KHarab thi ye KHarab hai
ise chhoD de ise toD de ye kisi maraz ki dawa nahin
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 108)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.