kahin manzil kahin rasta purana chhuT jata hai
kahīñ manzil kahīñ rasta purānā chhūT jaatā hai
safar meñ ziist ke manzar suhānā chhūT jaatā hai
raqābat kā sabab bantā hai aksar roz kā milnā
zarā sī baat pe milnā-milānā chhūT jaatā hai
bahut afsos hotā hai za.īfī meñ buzurgoñ ko
javāñ beTe kā jab mazbūt shāna chhūT jaatā hai
yahī dastūr-e-fitrat hai ḳhizāñ ke daur meñ aksar
shajar ke haath se pattā purānā chhūT jaatā hai
samajh liije ajal kā ham-safar hai vo bashar ab to
bahut pahle se jis kā āb-o-dānā chhūT jaatā hai
safar meñ ham-safar mil jaa.e jis ko chāñd kā TukḌā
phir us se dost kyā saarā zamāna chhūT jaatā hai
matā-e-dahr par ai 'nasr' itnā naaz kyā karnā
adam kī raah meñ saarā ḳhazāna chhūT jaatā hai
kahin manzil kahin rasta purana chhuT jata hai
safar mein zist ke manzar suhana chhuT jata hai
raqabat ka sabab banta hai aksar roz ka milna
zara si baat pe milna-milana chhuT jata hai
bahut afsos hota hai zaifi mein buzurgon ko
jawan beTe ka jab mazbut shana chhuT jata hai
yahi dastur-e-fitrat hai KHizan ke daur mein aksar
shajar ke hath se patta purana chhuT jata hai
samajh lije ajal ka ham-safar hai wo bashar ab to
bahut pahle se jis ka aab-o-dana chhuT jata hai
safar mein ham-safar mil jae jis ko chand ka TukDa
phir us se dost kya sara zamana chhuT jata hai
mata-e-dahr par ai 'nasr' itna naz kya karna
adam ki rah mein sara KHazana chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.