kahin marne wale kaha mante hain
kahīñ marne vaale kahā mānte haiñ
vahī kar guzarte haiñ jo Thānte haiñ
koī khel hai jaan par khel jaanā
vo ye kah ke aksar hameñ tānte haiñ
milā ye javāb aaj rashk-e-adū par
jo maane hameñ us ko ham mānte haiñ
taḌap kar idhar ho gayā koī ThanDā
udhar aap dāman hī gardānte haiñ
kaheñ kyā shab-e-hijr kaTtī hai kyūñ-kar
jo dil par guzartī hai ham jānte haiñ
mire dil kī kuchh qadr hogī unhīñ ko
jo khoTā kharā ḳhuub pahchānte haiñ
ye fiqre ye chāleñ ye ghāteñ ye bāteñ
tujhe o daġhābāz ham jānte haiñ
adū se bhī hai sulh manzūr achchhā
jo ab tak na maanī thī ab mānte haiñ
'hafīz' us kī jis par huī mehrbānī
usī ko zamāne meñ sab mānte haiñ
kahin marne wale kaha mante hain
wahi kar guzarte hain jo Thante hain
koi khel hai jaan par khel jaana
wo ye kah ke aksar hamein tante hain
mila ye jawab aaj rashk-e-adu par
jo mane hamein us ko hum mante hain
taDap kar idhar ho gaya koi ThanDa
udhar aap daman hi gardante hain
kahen kya shab-e-hijr kaTti hai kyun-kar
jo dil par guzarti hai hum jaante hain
mere dil ki kuchh qadr hogi unhin ko
jo khoTa khara KHub pahchante hain
ye fiqre ye chaalen ye ghaten ye baaten
tujhe o daghabaz hum jaante hain
adu se bhi hai sulh manzur achchha
jo ab tak na mani thi ab mante hain
'hafiz' us ki jis par hui mehrbani
usi ko zamane mein sab mante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.