Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin na aisa ho apna waqar kha jae

Varun Anand

kahin na aisa ho apna waqar kha jae

Varun Anand

MORE BYVarun Anand

    kahīñ na aisā ho apnā vaqār khā jaa.e

    ḳhizāñ se phuul bachā.eñ bahār khā jaa.e

    hamāre jaisā kahāñ dil kisī hogā bhalā

    jo dard paale rakhe aur qarār khā jaa.e

    palaT ke sañg tirī aur pheñk saktā huuñ

    ki maiñ vo qais nahīñ haañ jo maar khā jaa.e

    usī dāḳhila is dasht meñ karo ab se

    jo sabr sake apnā ġhubār khā jaa.e

    bahut qarār hai thoḌī be-qarārī de

    kahīñ na aisā ho mujh ko qarār khā jaa.e

    ajab safīna hai ye vaqt safīna bhī

    jo apnī god meñ baiThā savār khā jaa.e

    kahin na aisa ho apna waqar kha jae

    KHizan se phul bachaen bahaar kha jae

    hamare jaisa kahan dil kisi ka hoga bhala

    jo dard pale rakhe aur qarar kha jae

    palaT ke sang teri aur phenk sakta hun

    ki main wo qais nahin han jo mar kha jae

    usi ka daKHila is dasht mein karo ab se

    jo sabr pi sake apna ghubar kha jae

    bahut qarar hai thoDi si be-qarari de

    kahin na aisa ho mujh ko qarar kha jae

    ajab safina hai ye waqt ka safina bhi

    jo apni god mein baiTha sawar kha jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now