kahin nahin hain aahaTen na tera intizar hai
kahīñ nahīñ haiñ āhaTeñ na terā intizār hai
magar vahīñ hai ik ḳhalish jo dil meñ barqarār hai
na tohmateñ na buġhz hai na hī gila bhī hai koī
magar savāl laakh haiñ bahut hī intishār hai
na mil sake qarīb se na hī judā hue kabhī
har ek chiiz nā-tamām ġham hai yā ḳhumār hai
duā nahīñ qubūl kī to rahmateñ navāzisheñ
abhī purānī ne.amatoñ se qalb taar taar hai
milā bhī aur milā nahīñ tū ek ḳhvāb sā milā
na chhū sakī na kah sakī jo haal āshkār hai
nasha nahīñ junūñ nahīñ na hī koī futūr hai
magar maiñ is ko kyā kahūñ ki sar pe jo savār hai
hai shaam kā vahī pahar vahī jagah vahī Dagar
baġhair ek shaḳhs ke koī alag dayār hai
kahin nahin hain aahaTen na tera intizar hai
magar wahin hai ek KHalish jo dil mein barqarar hai
na tohmaten na bughz hai na hi gila bhi hai koi
magar sawal lakh hain bahut hi intishaar hai
na mil sake qarib se na hi juda hue kabhi
har ek chiz na-tamam gham hai ya KHumar hai
dua nahin qubul ki to rahmaten nawazishen
abhi purani neamaton se qalb tar tar hai
mila bhi aur mila nahin tu ek KHwab sa mila
na chhu saki na kah saki jo haal aashkar hai
nasha nahin junun nahin na hi koi futur hai
magar main is ko kya kahun ki sar pe jo sawar hai
hai sham ka wahi pahar wahi jagah wahi Dagar
baghair ek shaKHs ke koi alag dayar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.