kahin nibah ki surat nahin zamane mein
kahīñ nibāh kī sūrat nahīñ zamāne meñ
qafas meñ chain na rāhat hai āshiyāne meñ
base chaman meñ the uḌ kar qafas meñ jā pahoñche
kashish ajiib hai qismat ke āb-o-dāne meñ
phirā nasīb to duniyā ne pher liiñ āñkheñ
sharīk-e-hāl nahīñ koī bhī zamāne meñ
kise sunā.eñ sune kaun kyā paḌī kis ko
balā kā dard bharā hai mire fasāne meñ
chhupeñge ahl-e-nazar se yahāñ vahāñ kab tak
kabhī to ā.eñge dil ke nigār-ḳhāne meñ
kahīñ sukūn nahīñ zabt DhūñDhte kyā ho
ġhubār chhāyā hai duniyā ke kār-ḳhāne meñ
kahin nibah ki surat nahin zamane mein
qafas mein chain na rahat hai aashiyane mein
base chaman mein the uD kar qafas mein ja pahonche
kashish ajib hai qismat ke aab-o-dane mein
phira nasib to duniya ne pher lin aankhen
sharik-e-haal nahin koi bhi zamane mein
kise sunaen sune kaun kya paDi kis ko
bala ka dard bhara hai mere fasane mein
chhupenge ahl-e-nazar se yahan wahan kab tak
kabhi to aaenge dil ke nigar-KHane mein
kahin sukun nahin zabt DhunDhte kya ho
ghubar chhaya hai duniya ke kar-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.