kahin olon ki barsaten kahin moti ki saughaten
kahin olon ki barsaten kahin moti ki saughaten
Imtiyaz Ahmad Qamar
MORE BYImtiyaz Ahmad Qamar
kahīñ oloñ kī barsāteñ kahīñ motī kī sauġhāteñ
nihāyat maslahat andesh haiñ ab badliyāñ us kī
bilā-shuba vahī qātil hai apne ahd kā lekin
shahādat kaun de ki sāmne hai vardiyāñ us kī
shahīdān-e-vafā bo.e ga.e haiñ ab ke mausam meñ
ki lāla-zār ho jaa.eñ lahū se khetiyāñ us kī
lahū āshām dariyā is tarah ham sur-ḳharrū utre
ki ab tak hichkiyāñ letī rahī haiñ naddiyāñ us kī
damakte chāñd taare shabnam-o-gul sub.h kā manzar
abhī bikhrī paḌī haiñ har taraf añgḌā.iyāñ us kī
na phir kyuuñ dard kī lazzat mashām-e-jāñ meñ lahrā.e
'qamar' jab gudgudā.eñ ḳhud-baḳhud purvā.iyāñ us kī
kahin olon ki barsaten kahin moti ki saughaten
nihayat maslahat andesh hain ab badliyan us ki
bila-shuba wahi qatil hai apne ahd ka lekin
shahadat kaun de ki samne hai wardiyan us ki
shahidan-e-wafa boe gae hain ab ke mausam mein
ki lala-zar ho jaen lahu se khetiyan us ki
lahu aasham dariya is tarah hum sur-KHarru utre
ki ab tak hichkiyan leti rahi hain naddiyan us ki
damakte chand tare shabnam-o-gul subh ka manzar
abhi bikhri paDi hain har taraf angDaiyan us ki
na phir kyun dard ki lazzat masham-e-jaan mein lahrae
'qamar' jab gudgudaen KHud-baKHud purwaiyan us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.